tabah KHud ko use la-zawal karte hain
tabāh ḳhud ko use lā-zavāl karte haiñ
hamāre log junūñ meñ kamāl karte haiñ
magar ye raaz faqat titliyāñ samajhtī haiñ
chamakte rañg bhī jiinā muhāl karte haiñ
kabhī kabhī to darindoñ pe pyaar aatā hai
tamām shahr kī yuuñ dekh-bhāl karte haiñ
ye kyā ki dil bhī dukhāne koī nahīñ aatā
chalo purāne marāsim bahāl karte haiñ
bulāo ḳhvāb-nagar meñ phir us sitāre ko
vahī karo jo sabhī ḳhush-ḳhayāl karte haiñ
kisī mazāq pe khul kar maiñ hañs nahīñ paatā
hañsī hañsī meñ vo jiinā muhāl karte haiñ
tabah KHud ko use la-zawal karte hain
hamare log junun mein kamal karte hain
magar ye raaz faqat titliyan samajhti hain
chamakte rang bhi jina muhaal karte hain
kabhi kabhi to darindon pe pyar aata hai
tamam shahr ki yun dekh-bhaal karte hain
ye kya ki dil bhi dukhane koi nahin aata
chalo purane marasim bahaal karte hain
bulao KHwab-nagar mein phir us sitare ko
wahi karo jo sabhi KHush-KHayal karte hain
kisi mazaq pe khul kar main hans nahin pata
hansi hansi mein wo jina muhaal karte hain
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 71)
- Author : Nomaan Shauq
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.