tabassum dil-barana ho gaya hai
tabassum dil-barāna ho gayā hai
ġhazab kā muskurānā ho gayā hai
mohabbat pā ga.ī hai apnī manzil
tire dil meñ Thikānā ho gayā hai
mujhe andesha-e-barq-e-tapāñ hai
mukammal āshiyāna ho gayā hai
na jaane kis tarah us be-ḳhabar se
ta.alluq ġhā.ebāna ho gayā hai
mirī rūdād kis ko yaad hogī
mirā qissa purānā ho gayā hai
unheñ dil kyoñ na chāhe dekhne ko
unheñ dekhe zamāna ho gayā hai
use 'sajjād' kyā ab yaad karnā
jise chhoḌe zamāna ho gayā hai
tabassum dil-barana ho gaya hai
ghazab ka muskurana ho gaya hai
mohabbat pa gai hai apni manzil
tere dil mein Thikana ho gaya hai
mujhe andesha-e-barq-e-tapan hai
mukammal aashiyana ho gaya hai
na jaane kis tarah us be-KHabar se
talluq ghaebana ho gaya hai
meri rudad kis ko yaad hogi
mera qissa purana ho gaya hai
unhen dil kyon na chahe dekhne ko
unhen dekhe zamana ho gaya hai
use 'sajjad' kya ab yaad karna
jise chhoDe zamana ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.