tabassum ho ki aansu chashm-e-tar mein
tabassum ho ki aañsū chashm-e-tar meñ
hamīñ ham haiñ zamāne kī nazar meñ
jahāñ vus.at huī fikr-o-nazar meñ
baḌhe kuchh aur aañsū chashm-e-tar meñ
mohabbat ke jahāñ ma.abad bane haiñ
hamārā ḳhuun hai dīvār-o-dar meñ
ġhurūr-e-kārvāñ se koī kah de
bahut maare paḌe haiñ rahguzar meñ
ḳhabar kyā ḳhāna-barbādoñ kī tum ko
ḳhudā.ī hai ḳhudāvandī hai ghar meñ
shab-e-ġham rang laa.ī jaate jaate
lagā dī aag dāmān-e-sahar meñ
jafā ho apnī had par yā vafā ho
bahut kam hai mohabbat kī nazar meñ
ajal aane se pahle kuchh na samjhe
bahut kuchh thā hayāt-e-muḳhtasar meñ
tabassum ho ki aansu chashm-e-tar mein
hamin hum hain zamane ki nazar mein
jahan wusat hui fikr-o-nazar mein
baDhe kuchh aur aansu chashm-e-tar mein
mohabbat ke jahan mabad bane hain
hamara KHun hai diwar-o-dar mein
ghurur-e-karwan se koi kah de
bahut mare paDe hain rahguzar mein
KHabar kya KHana-barbaadon ki tum ko
KHudai hai KHudawandi hai ghar mein
shab-e-gham rang lai jate jate
laga di aag daman-e-sahar mein
jafa ho apni had par ya wafa ho
bahut kam hai mohabbat ki nazar mein
ajal aane se pahle kuchh na samjhe
bahut kuchh tha hayat-e-muKHtasar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.