tabdili-e-mizaj ko aab-o-hawa mile
tabdīlī-e-mizāj ko āb-o-havā mile
sāgar meñ jo kashish hai pahāḌoñ pe kyā mile
maiñ sīpiyāñ hī chuntī huuñ sāhil kī ret se
maiñ DhūñDhtī hī kab huuñ ki motī paḌā mile
āmāda hī nahīñ hai parinda rihā.ī par
zanjīr TuuT jaa.e yā piñjra khulā mile
andar kī toḌ phoḌ ne tā'mīr kar diyā
ab is se baḌh ke aur bhalā kyā sazā mile
ik maiñ nahīñ akelī sarāboñ ke shauq meñ
apne 'alāva aur ka.ī mubtalā mile
hamdard ban ke sunte haiñ sab kī kahāniyāñ
mazmūn likhne ke liye kuchh to nayā mile
āñkhoñ meñ ek ashk hī rakkhā sañbhāl ke
dekhā na koī ḳhvāb to tā'bīr kyā mile
derīna dostoñ kā kabhī to ḳhayāl kar
ye kyā ki jab mile to sabhī se ḳhafā mile
goyā sukūn-e-qalb 'atā kar diyā gayā
sad-shukr hai ḳhudā kā hameñ mustafā mile
tabdili-e-mizaj ko aab-o-hawa mile
sagar mein jo kashish hai pahaDon pe kya mile
main sipiyan hi chunti hun sahil ki ret se
main DhunDhti hi kab hun ki moti paDa mile
aamada hi nahin hai parinda rihai par
zanjir TuT jae ya pinjra khula mile
andar ki toD phoD ne ta'mir kar diya
ab is se baDh ke aur bhala kya saza mile
ek main nahin akeli sarabon ke shauq mein
apne 'alawa aur kai mubtala mile
hamdard ban ke sunte hain sab ki kahaniyan
mazmun likhne ke liye kuchh to naya mile
aankhon mein ek ashk hi rakkha sanbhaal ke
dekha na koi KHwab to ta'bir kya mile
derina doston ka kabhi to KHayal kar
ye kya ki jab mile to sabhi se KHafa mile
goya sukun-e-qalb 'ata kar diya gaya
sad-shukr hai KHuda ka hamein mustafa mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.