tabiat be-niyaz-e-lazzat-e-gham hoti jati hai
tabī.at be-niyāz-e-lazzat-e-ġham hotī jaatī hai
kisī se kyā mirī dil-bastagī kam hotī jaatī hai
nazar tum ne churā lī tum kisī sūrat nahīñ milte
isī se ibtidā-e-dard-e-paiham hotī jaatī hai
vo shai jis ko ba-rang-e-ishq maiñ tiryāq samjhā thā
vahī shai aaj mere vāste sam hotī jaatī hai
ye dil TuuT thā jab se ashk āñkhoñ meñ nahīñ thamte
mirī hastī ġham-e-ulfat kī mahram hotī jaatī hai
ye duniyā ishq kī duniyā hai yaañ dil kī hukūmat hai
mohabbat yaañ har ik shai par muqaddam hotī jaatī hai
samā.e jā rahe haiñ tere jalve merī āñkhoñ meñ
tirī hastī mirī hastī meñ mudġham hotī jaatī hai
vidā.a-e-fasl-e-gul nazdīk hai ai 'auj' ab shāyad
vagarna kyoñ mirī dīvāngī kam hotī jaatī hai
tabiat be-niyaz-e-lazzat-e-gham hoti jati hai
kisi se kya meri dil-bastagi kam hoti jati hai
nazar tum ne chura li tum kisi surat nahin milte
isi se ibtida-e-dard-e-paiham hoti jati hai
wo shai jis ko ba-rang-e-ishq main tiryaq samjha tha
wahi shai aaj mere waste sam hoti jati hai
ye dil TuT tha jab se ashk aankhon mein nahin thamte
meri hasti gham-e-ulfat ki mahram hoti jati hai
ye duniya ishq ki duniya hai yan dil ki hukumat hai
mohabbat yan har ek shai par muqaddam hoti jati hai
samae ja rahe hain tere jalwe meri aankhon mein
teri hasti meri hasti mein mudgham hoti jati hai
widaa-e-fasl-e-gul nazdik hai ai 'auj' ab shayad
wagarna kyon meri diwangi kam hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.