tabiat-e-be-niyaz-e-josh-e-wahshat ho to sakti hai
tabī.at-e-be-niyāz-e-josh-e-vahshat ho to saktī hai
jo tum chāho to behtar merī hālat ho to saktī hai
vo dil lene chale haiñ ik nigāh-e-nāz ke badle
chalo us jins kī bhī koī qīmat ho to saktī hai
nahīñ ahl-e-vafā kī qadr terī bazm meñ lekin
kabhī in sarfaroshoñ kī zarūrat ho to saktī hai
duā.eñ māñgte the sub.h-e-nau kī ye na sochā thā
kabhī sub.h-e-vatan bhī shām-e-ġhurbat ho to saktī hai
ye maanā kārobār-e-zindagī qaa.em hai nafrat par
magar insāñ ko insāñ se mohabbat ho to saktī hai
ye maiñ ne kab kahā merī tarah tum ko mohabbat hai
magar merī tarah tum ko mohabbat ho to saktī hai
chale haiñ ruuTh kar kuchh riñd mai-ḳhāne se ai 'maikash'
yahī āzurdagī azm-e-baġhāvat ho to saktī hai
tabiat-e-be-niyaz-e-josh-e-wahshat ho to sakti hai
jo tum chaho to behtar meri haalat ho to sakti hai
wo dil lene chale hain ek nigah-e-naz ke badle
chalo us jins ki bhi koi qimat ho to sakti hai
nahin ahl-e-wafa ki qadr teri bazm mein lekin
kabhi in sarfaroshon ki zarurat ho to sakti hai
duaen mangte the subh-e-nau ki ye na socha tha
kabhi subh-e-watan bhi sham-e-ghurbat ho to sakti hai
ye mana karobar-e-zindagi qaem hai nafrat par
magar insan ko insan se mohabbat ho to sakti hai
ye main ne kab kaha meri tarah tum ko mohabbat hai
magar meri tarah tum ko mohabbat ho to sakti hai
chale hain ruTh kar kuchh rind mai-KHane se ai 'maikash'
yahi aazurdagi azm-e-baghawat ho to sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.