tabiat jab meri aamada-e-tadbir hoti hai
tabī.at jab mirī āmāda-e-tadbīr hotī hai
karam-farmā hamesha shūmī-e-taqdīr hotī hai
kahīñ rusvā.iyoñ se ibtidā hī meñ na Dar jaanā
mohabbat rafta rafta bā.is-e-tauqīr hotī hai
mujhe inkār kyā hai un se ḳhud jā kar bhī milne meñ
dil-e-ḳhuddār kahtā hai mirī tahqīr hotī hai
takabbur se kahīñ ai dil use zaa.e.a na kar denā
baḌī mushkil se paidā aah meñ tāsīr hotī hai
tire ḳhat ko mulāqāt-e-mukammal kyuuñ na maiñ samjhūñ
tirī tahrīr meñ bhī lazzat-e-taqrīr hotī hai
uḌā jaatā hai dāman har kisī kā dhajjiyāñ ho kar
havas kuchh is tarah duniyā meñ dāman-gīr hotī hai
tirī tasvīr bhī kuchh kam nahīñ hai dil-farebī meñ
ḳhamoshī meñ bhī kyā kyā shoḳhī-e-taqrīr hotī hai
vahī merī sī ḳhāmoshī vahī merī sī hairānī
tirī tasvīr se paidā mirī tasvīr hotī hai
ise kahte haiñ 'sāhir' husn kī rūdād bhī lekin
ġhazal apnī hamesha ishq kī tafsīr hotī hai
tabiat jab meri aamada-e-tadbir hoti hai
karam-farma hamesha shumi-e-taqdir hoti hai
kahin ruswaiyon se ibtida hi mein na Dar jaana
mohabbat rafta rafta bais-e-tauqir hoti hai
mujhe inkar kya hai un se KHud ja kar bhi milne mein
dil-e-KHuddar kahta hai meri tahqir hoti hai
takabbur se kahin ai dil use zaea na kar dena
baDi mushkil se paida aah mein tasir hoti hai
tere KHat ko mulaqat-e-mukammal kyun na main samjhun
teri tahrir mein bhi lazzat-e-taqrir hoti hai
uDa jata hai daman har kisi ka dhajjiyan ho kar
hawas kuchh is tarah duniya mein daman-gir hoti hai
teri taswir bhi kuchh kam nahin hai dil-farebi mein
KHamoshi mein bhi kya kya shoKHi-e-taqrir hoti hai
wahi meri si KHamoshi wahi meri si hairani
teri taswir se paida meri taswir hoti hai
ise kahte hain 'sahir' husn ki rudad bhi lekin
ghazal apni hamesha ishq ki tafsir hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.