tabiat mein ye sarshaari kahan se aa gai hai
tabī.at meñ ye sarshārī kahāñ se aa ga.ī hai
abhī achchhe the bīmārī kahāñ se aa ga.ī hai
kabhī dogānā paḌhte the namāz-e-ishq ham tum
ab is rishte meñ begārī kahāñ se aa ga.ī hai
zalīl-o-ḳhvār nā-hanjār pyāre kam-nasībo
tumhāre sar meñ sardārī kahāñ se aa ga.ī hai
ye mahfil ḳhūbsūrat ḳhūb-sīrat dostoñ kī
yahāñ ik shakl sarkārī kahāñ se aa ga.ī hai
lahad se duur haiñ zinda haiñ phir bhī mere aage
lahad kī chār-dīvārī kahāñ se aa ga.ī hai
bahut dushvār thā āsān karnā mas.aloñ kā
ab āsānī meñ dushvārī kahāñ se aa ga.ī hai
jo hāzir aur nāzir hai vo raavī likh rahā hai
hamāre ghar azā-dārī kahāñ se aa ga.ī hai
'anīs'-e-nā-tavāñ kyā pūchhte haiñ jān-e-jāñ se
ki in sheroñ meñ be-zārī kahāñ se aa ga.ī hai
tabiat mein ye sarshaari kahan se aa gai hai
abhi achchhe the bimari kahan se aa gai hai
kabhi dogana paDhte the namaz-e-ishq hum tum
ab is rishte mein begari kahan se aa gai hai
zalil-o-KHwar na-hanjar pyare kam-nasibo
tumhaare sar mein sardari kahan se aa gai hai
ye mahfil KHubsurat KHub-sirat doston ki
yahan ek shakl sarkari kahan se aa gai hai
lahad se dur hain zinda hain phir bhi mere aage
lahad ki chaar-diwari kahan se aa gai hai
bahut dushwar tha aasan karna masalon ka
ab aasani mein dushwari kahan se aa gai hai
jo hazir aur nazir hai wo rawi likh raha hai
hamare ghar aza-dari kahan se aa gai hai
'anis'-e-na-tawan kya puchhte hain jaan-e-jaan se
ki in sheron mein be-zari kahan se aa gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.