tabiat un pe mail ho gai hai
tabī.at un pe maa.il ho ga.ī hai
ilāhī kaisī mushkil ho ga.ī hai
nigāh-e-nāz apnā kaam kar ke
dil-e-muztar se ġhāfil ho ga.ī hai
agar tum sun sako to dāstāñ ab
bayāñ karne ke qābil ho ga.ī hai
ye tum ne dard kyā baḳhshā hai goyā
mujhe me.arāj hāsil ho ga.ī hai
'ziyā' jab se milā hai ġham kisī kā
baḌī taskīn hāsil ho ga.ī hai
tabiat un pe mail ho gai hai
ilahi kaisi mushkil ho gai hai
nigah-e-naz apna kaam kar ke
dil-e-muztar se ghafil ho gai hai
agar tum sun sako to dastan ab
bayan karne ke qabil ho gai hai
ye tum ne dard kya baKHsha hai goya
mujhe mearaj hasil ho gai hai
'ziya' jab se mila hai gham kisi ka
baDi taskin hasil ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.