tabsira shahr ke haalat par ijmali hai
tabsira shahr ke hālāt par ijmālī hai
she'r kahtā huuñ ki shā'ir kī jagah ḳhālī hai
us ke chehre ke ujāloñ kī tamanna hai bahut
hijr kī raat hai aur raat baḌī kaalī hai
kisī ‘īsā-nafasī kī mujhe ḳhvāhish bhī nahīñ
maiñ ne jab pyaar se bīmārī-e-dil paalī hai
phuul ke din bhī nahīñ aur mahaktā hai daraḳht
patte jhaḌte haiñ magar baaġh meñ hariyālī hai
koī mausam ho jhapaktī hī nahīñ vo āñkheñ
ki unhīñ āñkhoñ ke zimme mirī rakhvālī hai
kaun ban-bās ke din kaaT ke ghar aayā hai
gaañv kī suunī muñDeroñ pe bhī dīvālī hai
chāhatoñ se kise inkār sazā kuchh bhī sahī
dil-e-majbūr kā ye jurm to iqbālī hai
āḳhirash maiñ ne banā hī liyā DeḌh iiñT kā ghar
haa.e zālim ne bhī kyā shoḳh tarah Daalī hai
sirf lahja nahīñ bandish meñ bhī chustī hai 'ra.īs'
jaise māhir ko ġhazal aap ne dikhlā lī hai
tabsira shahr ke haalat par ijmali hai
she'r kahta hun ki sha'ir ki jagah KHali hai
us ke chehre ke ujalon ki tamanna hai bahut
hijr ki raat hai aur raat baDi kali hai
kisi ‘isa-nafasi ki mujhe KHwahish bhi nahin
main ne jab pyar se bimari-e-dil pali hai
phul ke din bhi nahin aur mahakta hai daraKHt
patte jhaDte hain magar bagh mein hariyali hai
koi mausam ho jhapakti hi nahin wo aankhen
ki unhin aankhon ke zimme meri rakhwali hai
kaun ban-bas ke din kaT ke ghar aaya hai
ganw ki suni munDeron pe bhi diwali hai
chahaton se kise inkar saza kuchh bhi sahi
dil-e-majbur ka ye jurm to iqbaali hai
aaKHirash main ne bana hi liya DeDh inT ka ghar
hae zalim ne bhi kya shoKH tarah Dali hai
sirf lahja nahin bandish mein bhi chusti hai 'rais'
jaise mahir ko ghazal aap ne dikhla li hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.