taDap ai dil ki phir tere taDapne ka maqam aaya
taḌap ai dil ki phir tere taḌapne kā maqām aaya
muqaddar merā ban kar rah ga.ī hai tishnagī merī
na saaqī kī nazar uTThī na mujh tak daur-e-jām aaya
shab-e-furqat junūn-e-ārzū lamhāt-e-tanhā.ī
dil-e-nākām hī in ma.arkoñ meñ mere kaam aaya
huā jis tarah bhī maiñ ne guzārā roz-e-furqat ko
vo aalam kyā kahūñ ai ham-nashīñ jab vaqt-e-shām aaya
mire dil ne diyā dars-e-haqīqat ahl-e-dānish ko
ye dīvāna to thā lekin ḳhirad-mandoñ ke kaam aaya
na jaanā un kī mahfil meñ baḌī tauhīn thī un kī
musalsal un kī jānib se salām aaya payām aaya
taDap ai dil ki phir tere taDapne ka maqam aaya
muqaddar mera ban kar rah gai hai tishnagi meri
na saqi ki nazar uTThi na mujh tak daur-e-jam aaya
shab-e-furqat junun-e-arzu lamhat-e-tanhai
dil-e-nakaam hi in markon mein mere kaam aaya
hua jis tarah bhi main ne guzara roz-e-furqat ko
wo aalam kya kahun ai ham-nashin jab waqt-e-sham aaya
mere dil ne diya dars-e-haqiqat ahl-e-danish ko
ye diwana to tha lekin KHirad-mandon ke kaam aaya
na jaana un ki mahfil mein baDi tauhin thi un ki
musalsal un ki jaanib se salam aaya payam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.