taDap aisi ki bas din-raat aahen bharte jate hain
taḌap aisī ki bas din-rāt aa.heñ bharte jaate haiñ
tumhāre 'ishq meñ be-maut 'āshiq marte jaate haiñ
udhar vo but bane baiThe hue takte haiñ sūrat ko
idhar ro-ro ke ‘arz-e-mudda.ā ham karte jaate haiñ
lagātā hai gale se apnī mahfil meñ vo ġhairoñ ko
bas ik ham se hī ādāb-e-takalluf barte jaate haiñ
ye dil bhī haule-haule ġham kā ‘aadī hotā jaatā hai
jigar ke zaḳhm saare rafta-rafta bharte jaate haiñ
ġhazal kaisī kahāñ kā fan kahāñ kī shā'irī 'yāsir'
guzartī hai jo kuchh dil par raqam ham karte jaate haiñ
taDap aisi ki bas din-raat aahen bharte jate hain
tumhaare 'ishq mein be-maut 'ashiq marte jate hain
udhar wo but bane baiThe hue takte hain surat ko
idhar ro-ro ke ‘arz-e-muddaa hum karte jate hain
lagata hai gale se apni mahfil mein wo ghairon ko
bas ek hum se hi aadab-e-takalluf barte jate hain
ye dil bhi haule-haule gham ka ‘adi hota jata hai
jigar ke zaKHm sare rafta-rafta bharte jate hain
ghazal kaisi kahan ka fan kahan ki sha'iri 'yasir'
guzarti hai jo kuchh dil par raqam hum karte jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.