taDap hayat se baham nahin to kuchh bhi nahin
taḌap hayāt se bāham nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ḳhushī ke saath agar ġham nahīñ to kuchh bhī nahīñ
hazār roiye hāl-e-tabāh par apne
kisī kī aañkh agar nam nahīñ to kuchh bhī nahīñ
tumhārī baat masīhā-sifat sahī lekin
hamāre zaḳhm kā marham nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ġhalat hai ḳhuun ke aañsū bahānā marne par
jo zinda laash kā mātam nahīñ to kuchh bhī nahīñ
hazār rang se mahfil sajā ke tum dekho
tumhāre saath agar ham nahīñ to kuchh bhī nahīñ
chaman ko naaz na ho jis pe vo bahār hī kyā
agarche phuul pe shabnam nahīñ to kuchh bhī nahīñ
'nazar' zarūr hai hāthoñ meñ un ke jaam magar
'nazar' meñ kaif kā aalam nahīñ to kuchh bhī nahīñ
taDap hayat se baham nahin to kuchh bhi nahin
KHushi ke sath agar gham nahin to kuchh bhi nahin
hazar roiye haal-e-tabah par apne
kisi ki aankh agar nam nahin to kuchh bhi nahin
tumhaari baat masiha-sifat sahi lekin
hamare zaKHm ka marham nahin to kuchh bhi nahin
ghalat hai KHun ke aansu bahana marne par
jo zinda lash ka matam nahin to kuchh bhi nahin
hazar rang se mahfil saja ke tum dekho
tumhaare sath agar hum nahin to kuchh bhi nahin
chaman ko naz na ho jis pe wo bahaar hi kya
agarche phul pe shabnam nahin to kuchh bhi nahin
'nazar' zarur hai hathon mein un ke jam magar
'nazar' mein kaif ka aalam nahin to kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.