taDap jata hai dil jab duriyon ki baat hoti hai
taḌap jaatā hai dil jab dūriyoñ kī baat hotī hai
idhar sūraj nikaltā hai udhar jab raat hotī hai
kabhī ik baat hotī hai hazāroñ baat ke pīchhe
kabhī ik baat ke andar hazāroñ baat hotī hai
maqām-e-'adl se guzre dayār-e-sidq bhī dekhā
har ik 'ālam meñ duniyā ahl-e-zar ke saath hotī hai
yahāñ zālim nahīñ koī to bārish kyoñ nahīñ hotī
idhar barsāt hotī hai udhar barsāt hotī hai
mukammal taur par ham sāmne aane se Darte haiñ
hamārī asl hālat to pas-e-hālāt hotī hai
haq-o-bātil azal se barsar-e-paikār haiñ lekin
na is kī jiit hotī hai na us kī maat hotī hai
bagūloñ kī jagah ugtī haiñ ḳhud-rau jhāḌiyāñ aksar
‘arab ke reg-zāroñ meñ bhī ab barsāt hotī hai
mire har kaam kā maqsad hai 'irfān' us kī ḳhushnūdī
mirī har fikr kā mehvar usī kī zaat hotī hai
taDap jata hai dil jab duriyon ki baat hoti hai
idhar suraj nikalta hai udhar jab raat hoti hai
kabhi ek baat hoti hai hazaron baat ke pichhe
kabhi ek baat ke andar hazaron baat hoti hai
maqam-e-'adl se guzre dayar-e-sidq bhi dekha
har ek 'alam mein duniya ahl-e-zar ke sath hoti hai
yahan zalim nahin koi to barish kyon nahin hoti
idhar barsat hoti hai udhar barsat hoti hai
mukammal taur par hum samne aane se Darte hain
hamari asl haalat to pas-e-haalat hoti hai
haq-o-baatil azal se barsar-e-paikar hain lekin
na is ki jit hoti hai na us ki mat hoti hai
bagulon ki jagah ugti hain KHud-rau jhaDiyan aksar
‘arab ke reg-zaron mein bhi ab barsat hoti hai
mere har kaam ka maqsad hai 'irfan' us ki KHushnudi
meri har fikr ka mehwar usi ki zat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.