taDap raha tha main jis dard-e-la-dawa ke liye
taḌap rahā thā maiñ jis dard-e-lā-davā ke liye
vo mil gayā hai magar chhīn le ḳhudā ke liye
maiñ buuñd buuñd Tapaktā huuñ apne hoñToñ par
chalā thā le ke ye sarmāya karbalā ke liye
fishār-e-ġham ne mujhe chuur chuur kar Daalā
kivāḌ khol de saare zarā havā ke liye
kaTī huī hai mire taaza mausamoñ kī zabāñ
kahāñ se lā.ūñgā alfāz ab duā ke liye
mirī talab ne mire haath toḌ Daale haiñ
bahut kaḌā hai ye lamha mirī anā ke liye
kabhī darīche samundar kī samt khulte the
taras gayā huuñ magar ab khulī fazā ke liye
mujhe ḳhabar hai jhukegī tirī nazar na kabhī
banī hai ye to sifat chashm-e-bā-hayā ke liye
har ek chiiz yahāñ kāġhazī libās meñ hai
koī jagah nahīñ miltī gul-e-vafā ke liye
ḳhayāl meñ ka.ī kāñTe utar ga.e 'afzal'
sazā milī hai ye ik harf-e-nā-rasā ke liye
taDap raha tha main jis dard-e-la-dawa ke liye
wo mil gaya hai magar chhin le KHuda ke liye
main bund bund Tapakta hun apne honTon par
chala tha le ke ye sarmaya karbala ke liye
fishaar-e-gham ne mujhe chur chur kar Dala
kiwaD khol de sare zara hawa ke liye
kaTi hui hai mere taza mausamon ki zaban
kahan se launga alfaz ab dua ke liye
meri talab ne mere hath toD Dale hain
bahut kaDa hai ye lamha meri ana ke liye
kabhi dariche samundar ki samt khulte the
taras gaya hun magar ab khuli faza ke liye
mujhe KHabar hai jhukegi teri nazar na kabhi
bani hai ye to sifat chashm-e-ba-haya ke liye
har ek chiz yahan kaghazi libas mein hai
koi jagah nahin milti gul-e-wafa ke liye
KHayal mein kai kanTe utar gae 'afzal'
saza mili hai ye ek harf-e-na-rasa ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.