taDap uThta hun yaadon se lipaT kar sham hote hi
taDap uThta hun yaadon se lipaT kar sham hote hi
Rashid Anwar Rashid
MORE BYRashid Anwar Rashid
taḌap uThtā huuñ yādoñ se lipaT kar shaam hote hī
mujhe Dastā hai merā sard bistar shaam hote hī
parinde āshiyānoñ se panāheñ māñgā karte haiñ
badalne lagtā hai āñkhoñ kā manzar shaam hote hī
har ik lamha na.ī yalġhār kā ḳhatra satātā hai
muḳhālif samt se aate haiñ lashkar shaam hote hī
maiñ būḌhā ho chalā huuñ phir bhī maañ tākīd kartī hai
mire beTe na jaanā ghar se bāhar shaam hote hī
ḳhudāyā ḳhair āḳhir kaun sī bastī meñ aa pahuñchā
paḌosī pheñkne lagte haiñ patthar shaam hote hī
na jaane in dinoñ ḳhāmosh sā rahtā hai kyuuñ din meñ
ubal paḌtā hai jazboñ kā samundar shaam hote hī
ujāle meñ kisī sūrat safar to kaT hī jaatā hai
miyāñ 'rāshid' magar lagtī hai Thokar shaam hote hī
taDap uThta hun yaadon se lipaT kar sham hote hi
mujhe Dasta hai mera sard bistar sham hote hi
parinde aashiyanon se panahen manga karte hain
badalne lagta hai aankhon ka manzar sham hote hi
har ek lamha nai yalghaar ka KHatra satata hai
muKHalif samt se aate hain lashkar sham hote hi
main buDha ho chala hun phir bhi man takid karti hai
mere beTe na jaana ghar se bahar sham hote hi
KHudaya KHair aaKHir kaun si basti mein aa pahuncha
paDosi phenkne lagte hain patthar sham hote hi
na jaane in dinon KHamosh sa rahta hai kyun din mein
ubal paDta hai jazbon ka samundar sham hote hi
ujale mein kisi surat safar to kaT hi jata hai
miyan 'rashid' magar lagti hai Thokar sham hote hi
- Book : Shaam Hote hi (Pg. 12)
- Author : Rashid Anwar Rashid
- Publication : Rashid Anwar Rashid (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.