taDapne ki ijazat jazba-e-bismil se milti hai
taḌapne kī ijāzat jazba-e-bismil se miltī hai
jo dil mushtāq ho to phir zarā mushkil se miltī hai
vo haq sach kī ibārat paḌhne se mahrūm rahte haiñ
ki jin ko raushnī kī lau ruḳh-e-bātil se miltī hai
mujhe zinda jalā.e tujh ko bhī zinda hī dafnā.e
mire qātil kī fitrat bhī tire qātil se miltī hai
chakorī dekh le tū bhuul jaa.e chāñd ko taknā
dil-e-muztar ko jo taskīn kaale til se miltī hai
ye donoñ juḌvāñ bhaa.ī haiñ nahīñ is meñ shub.h kyūñki
mire mansab kī sūrat bhī mire qātil se miltī hai
kisī attār se milnā to 'panchhī' hai bahut mushkil
jo dil-āvez ḳhushbū husn kī mahfil se miltī hai
taDapne ki ijazat jazba-e-bismil se milti hai
jo dil mushtaq ho to phir zara mushkil se milti hai
wo haq sach ki ibarat paDhne se mahrum rahte hain
ki jin ko raushni ki lau ruKH-e-baatil se milti hai
mujhe zinda jalae tujh ko bhi zinda hi dafnae
mere qatil ki fitrat bhi tere qatil se milti hai
chakori dekh le tu bhul jae chand ko takna
dil-e-muztar ko jo taskin kale til se milti hai
ye donon juDwan bhai hain nahin is mein shubh kyunki
mere mansab ki surat bhi mere qatil se milti hai
kisi attar se milna to 'panchhi' hai bahut mushkil
jo dil-awez KHushbu husn ki mahfil se milti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.