taDapta main rahun furqat mein teri dil-nashin kab tak
taḌaptā maiñ rahūñ furqat meñ terī dil-nashīñ kab tak
mirī āñkheñ na dekheñgī tirā chehra hasīñ kab tak
ye dil aur jaan bhī qurbān tujh par kar diyā maiñ ne
rahegī tere bin suunī mire dil kī zamīñ kab tak
chalā aa ab na mujh ko aise taḌpā ai mire hamdam
guzārūñ zindagī tanhā tire bin ab yahīñ kab tak
sabhī uljhe paḌe haiñ ḳhud hī apne sab savāloñ meñ
jahāñ ke aib hī dekhā kareñge nukta-chīñ kab tak
lagā.e aas baiThā hai tū kab se raah meñ us kī
batā de aa.egī vo 'faiz' terī mah-jabīñ kab tak
taDapta main rahun furqat mein teri dil-nashin kab tak
meri aankhen na dekhengi tera chehra hasin kab tak
ye dil aur jaan bhi qurban tujh par kar diya main ne
rahegi tere bin suni mere dil ki zamin kab tak
chala aa ab na mujh ko aise taDpa ai mere hamdam
guzarun zindagi tanha tere bin ab yahin kab tak
sabhi uljhe paDe hain KHud hi apne sab sawalon mein
jahan ke aib hi dekha karenge nukta-chin kab tak
lagae aas baiTha hai tu kab se rah mein us ki
bata de aaegi wo 'faiz' teri mah-jabin kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.