taDapte hain gham-e-furqat mein taDpaya nahin karte
taḌapte haiñ ġham-e-furqat meñ taḌpāyā nahīñ karte
mohabbat karne vaale ġham se ghabrāyā nahīñ karte
chale aao mohabbat meñ takalluf kyā zarūrī hai
tum apne ho to phir apnoñ se sharmāyā nahīñ karte
mohabbat meñ matā.a-e-jān-o-dil hai ai mire hamdam
jo jān-e-zindagī ho us se katrāyā nahīñ karte
ye qasmeñ aur va.ade pyaar ulfat ke nibhā.eñge
yaqīnan ham kabhī jhūTī qasam khāyā nahīñ karte
'salīm' apnā to sheva hai mohabbat karne vāloñ ko
gale baḌh kar lagā lete haiñ Thukrāyā nahīñ karte
taDapte hain gham-e-furqat mein taDpaya nahin karte
mohabbat karne wale gham se ghabraya nahin karte
chale aao mohabbat mein takalluf kya zaruri hai
tum apne ho to phir apnon se sharmaya nahin karte
mohabbat mein mataa-e-jaan-o-dil hai ai mere hamdam
jo jaan-e-zindagi ho us se katraya nahin karte
ye qasmen aur wade pyar ulfat ke nibhaenge
yaqinan hum kabhi jhuTi qasam khaya nahin karte
'salim' apna to shewa hai mohabbat karne walon ko
gale baDh kar laga lete hain Thukraya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.