taDapte hain rihai ko anokhe dam ke aansu
taḌapte haiñ rihā.ī ko anokhe daam ke aañsū
ye palkoñ kī hirāsat meñ dil-e-nākām ke aañsū
ufuq se tā-ufuq phailī hai kaisī bebasī yā-rab
sahar ke surḳh aariz par haiñ Dhaltī shaam ke aañsū
rifāqat zahr lagtī hai sabhī ko pyaas bujhne par
sar-e-mahfil koī dekhe chhalakte jaam ke aañsū
ye donoñ ek se namkīñ haiñ donoñ ek se ġhamgīñ
kisī muflis kī beTī ke kisī mādām ke aañsū
na tark-e-āshiyāñ karte na ḳhud ko be-amāñ karte
chale kyoñ aañkh se ḳhvāboñ kī unglī thaam ke aañsū
azal se gardishoñ meñ haiñ sitāre apnī qismat ke
hameñ āġhāz-e-ulfat par mile anjām ke aañsū
taDapte hain rihai ko anokhe dam ke aansu
ye palkon ki hirasat mein dil-e-nakaam ke aansu
ufuq se ta-ufuq phaili hai kaisi bebasi ya-rab
sahar ke surKH aariz par hain Dhalti sham ke aansu
rifaqat zahr lagti hai sabhi ko pyas bujhne par
sar-e-mahfil koi dekhe chhalakte jam ke aansu
ye donon ek se namkin hain donon ek se ghamgin
kisi muflis ki beTi ke kisi madam ke aansu
na tark-e-ashiyan karte na KHud ko be-aman karte
chale kyon aankh se KHwabon ki ungli tham ke aansu
azal se gardishon mein hain sitare apni qismat ke
hamein aaghaz-e-ulfat par mile anjam ke aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.