taDapte rahte hain pani ke dhaare apni jagah
taḌapte rahte haiñ paanī ke dhāre apnī jagah
jame hue haiñ nadī ke kināre apnī jagah
nigār-e-shab kī subuk-gāmiyoñ pe marte hue
ragoñ meñ dauḌ rahe haiñ sharāre apnī jagah
shuā-e-mahr bujhāne meñ ho ga.ī nākām
chamak rahe haiñ falak par sitāre apnī jagah
kahāñ vo aañch jo us ke ḳhayāl se nikle
vo husn apnī jagah ye nazāre apnī jagah
badan sameT ke dekhā jo us ne merī taraf
simaT ke rah ga.e sab isti.āre apnī jagah
aham haiñ ḳhāma-e-dil kī nigārisheñ lekin
nigāh-e-yār ke 'yāvar' shumāre apnī jagah
taDapte rahte hain pani ke dhaare apni jagah
jame hue hain nadi ke kinare apni jagah
nigar-e-shab ki subuk-gamiyon pe marte hue
ragon mein dauD rahe hain sharare apni jagah
shua-e-mahr bujhane mein ho gai nakaam
chamak rahe hain falak par sitare apni jagah
kahan wo aanch jo us ke KHayal se nikle
wo husn apni jagah ye nazare apni jagah
badan sameT ke dekha jo us ne meri taraf
simaT ke rah gae sab istiare apni jagah
aham hain KHama-e-dil ki nigarishen lekin
nigah-e-yar ke 'yawar' shumare apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.