taDapti bijliyon se tira-samani nahin jati
taḌaptī bijliyoñ se tīra-sāmānī nahīñ jaatī
chaman is tarah ujḌā hai ki vīrānī nahīñ jaatī
zarūrat hai kisī muusā kī phir aiman kī vaadī meñ
vo yuuñ āvāz dete haiñ ki pahchānī nahīñ jaatī
tirī tasvīr kyā dekhī ki ḳhud tasvīr ban baiThe
hamāre dīda-e-hairāñ kī hairānī nahīñ jaatī
na.e sāġhar nayā saaqī nayā andāz-e-mai-ḳhāna
qadāmat kī yahāñ ab baat kuchh maanī nahīñ jaatī
ba-juz taḳhrīb insāñ kī samajh meñ kuchh nahīñ aatā
zamīñ se is liye taḳhrīb-sāmān.ī nahīñ jaatī
ḳhushāmad kī havā meñ phuul sab chunñe lage 'sāqī'
dar-e-gulchīñ kī tum se ḳhaak bhī chhānī nahīñ jaatī
taDapti bijliyon se tira-samani nahin jati
chaman is tarah ujDa hai ki virani nahin jati
zarurat hai kisi musa ki phir aiman ki wadi mein
wo yun aawaz dete hain ki pahchani nahin jati
teri taswir kya dekhi ki KHud taswir ban baiThe
hamare dida-e-hairan ki hairani nahin jati
nae saghar naya saqi naya andaz-e-mai-KHana
qadamat ki yahan ab baat kuchh mani nahin jati
ba-juz taKHrib insan ki samajh mein kuchh nahin aata
zamin se is liye taKHrib-samani nahin jati
KHushamad ki hawa mein phul sab chunne lage 'saqi'
dar-e-gulchin ki tum se KHak bhi chhani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.