tadbir-e-qarar-e-subh nahin saman-e-sukun-e-sham nahin
tadbir-e-qarar-e-subh nahin saman-e-sukun-e-sham nahin
Manzoor Hasan Nami
MORE BYManzoor Hasan Nami
tadbīr-e-qarār-e-sub.h nahīñ sāmān-e-sukūn-e-shām nahīñ
kambaḳht mohabbat vāloñ ko duniyā meñ kahīñ ārām nahīñ
vo roz nahīñ vo raat nahīñ vo sub.h nahīñ vo shaam nahīñ
jab ranj nahīñ afkār nahīñ andoh nahīñ ārām nahīñ
samjhegā na koī samjhā hai asrār-e-jahān-e-fitrat ko
ye dil kī lagī vo hai jis kā āġhāz nahīñ anjām nahīñ
maġhmūm kiyā nāshād kiyā bas dil ne hameñ barbād kiyā
qismat se shikāyat koī nahīñ taqdīr pe kuchh ilzām nahīñ
vo lamha fanā kā jaan liyā paiġhām qazā kā maan liyā
jab dil meñ kisī kā dhyān nahīñ jab lab pe kisī kā naam nahīñ
ye ishq ḳhayāl-e-ḳhām sahī rusvā-e-jahāñ bad-nām sahī
kyā terā ġhurūr-o-nāz batā ai husn ḳhayāl-e-ḳhām nahīñ
taqdīr ne terā dard diyā din raat jigar kā ḳhuun piyā
duniyā meñ hamārā is ke sivā kuchh shaġhl nahīñ kuchh kaam nahīñ
TuuTe nahīñ roz-o-shab mahshar kis vaqt tire dīvānoñ par
kab terī nigah ko madd-e-nazar ushshāq kā qatl-e-ām nahīñ
behtar hai yahī ḳhud uTh jaa.e mai-ḳhāna-e-hastī se 'nāmī'
sahbā-e-mohabbat hī se agar lab-rez ye dil kā jaam nahīñ
tadbir-e-qarar-e-subh nahin saman-e-sukun-e-sham nahin
kambaKHt mohabbat walon ko duniya mein kahin aaram nahin
wo roz nahin wo raat nahin wo subh nahin wo sham nahin
jab ranj nahin afkar nahin andoh nahin aaram nahin
samjhega na koi samjha hai asrar-e-jahan-e-fitrat ko
ye dil ki lagi wo hai jis ka aaghaz nahin anjam nahin
maghmum kiya nashad kiya bas dil ne hamein barbaad kiya
qismat se shikayat koi nahin taqdir pe kuchh ilzam nahin
wo lamha fana ka jaan liya paigham qaza ka man liya
jab dil mein kisi ka dhyan nahin jab lab pe kisi ka nam nahin
ye ishq KHayal-e-KHam sahi ruswa-e-jahan bad-nam sahi
kya tera ghurur-o-naz bata ai husn KHayal-e-KHam nahin
taqdir ne tera dard diya din raat jigar ka KHun piya
duniya mein hamara is ke siwa kuchh shaghl nahin kuchh kaam nahin
TuTe nahin roz-o-shab mahshar kis waqt tere diwanon par
kab teri nigah ko madd-e-nazar ushshaq ka qatl-e-am nahin
behtar hai yahi KHud uTh jae mai-KHana-e-hasti se 'nami'
sahba-e-mohabbat hi se agar lab-rez ye dil ka jam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.