taDpa kiya jo ye dil-e-muztar tamam raat
taDpa kiya jo ye dil-e-muztar tamam raat
Sayad Humayun Mirza Haqeer
MORE BYSayad Humayun Mirza Haqeer
taḌpā kiyā jo ye dil-e-muztar tamām raat
kaaTī hai maiñ ne kyā kahūñ kyūñkar tamām raat
apne makāñ pe jab mah-e-paikar nahīñ milā
phirtā rahā raqīboñ ke ghar ghar tamām raat
laḌ kar jo mujh se vo sitam-ārā chalā gayā
kaaTī hai maiñ ne taare hī gin kar tamām raat
pichhle pahar se aañkh khulī be-qarār huuñ
aaya jo ḳhvāb meñ mah-e-anvar tamām raat
apne makāñ se us ne nikālā jo raat ko
le kar phirā maiñ kāñdhe pe bistar tamām raat
is dard-e-dil se maiñ jo karāhā kiyā dilā
bechain mere saath banā ghar tamām raat
furqat meñ merī zindagī dushvār ho ga.ī
maiñ karvaTeñ badaltā huuñ din bhar tamām raat
kyūñkar na naaz apne muqaddar pe ho haqīr
dekhā jo ḳhvāb-e-sāqī-e-kausar tamām raat
taDpa kiya jo ye dil-e-muztar tamam raat
kaTi hai main ne kya kahun kyunkar tamam raat
apne makan pe jab mah-e-paikar nahin mila
phirta raha raqibon ke ghar ghar tamam raat
laD kar jo mujh se wo sitam-ara chala gaya
kaTi hai main ne tare hi gin kar tamam raat
pichhle pahar se aankh khuli be-qarar hun
aaya jo KHwab mein mah-e-anwar tamam raat
apne makan se us ne nikala jo raat ko
le kar phira main kandhe pe bistar tamam raat
is dard-e-dil se main jo karaha kiya dila
bechain mere sath bana ghar tamam raat
furqat mein meri zindagi dushwar ho gai
main karwaTen badalta hun din bhar tamam raat
kyunkar na naz apne muqaddar pe ho haqir
dekha jo KHwab-e-saqi-e-kausar tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.