taghaful par bhi un se dil ko ek wabastagi hogi
taġhāful par bhī un se dil ko ik vābastagī hogī
mohabbat ne mohabbat kī nazar pahchān lī hogī
mirī jānib kisī din be-irāda uTh ga.ī hogī
nigāh-e-nāz ko phir bhī bahut zahmat huī hogī
ye 'ādat hai hasīnoñ kī to is 'ādat ko kyā kahiye
ki jis se dostī hogī usī se dushmanī hogī
vahāñ bhī kashmakash paa.ī vahī saudāgarī dekhī
maiñ samjhā thā ki maiḳhāne meñ duniyā dūsrī hogī
sitāre chāñd sūraj sham' sab ko aazmā dekhā
vo jab tashrīf lā.eñge to ghar meñ raushnī hogī
bahār aane to do tum dekh lenā ai chaman vaalo
mirī dīvāngī meñ bhī baḌī shā.istagī hogī
abhī un se ta'alluq hai nigāhoñ se nigāhoñ tak
kabhī vo muskurā.eñge kisī din baat bhī hogī
jahāñ Thahrā huā sā hai fazā badlī huī sī hai
mire saaqī ne paimāne kī gardish rok dī hogī
jahāñ pahle nasheman thā vahāñ ab phūl-patte haiñ
magar āsār kahte haiñ yahāñ bijlī girī hogī
ye rāz-e-mai-kada sab ko nahīñ mā'lūm ai 'māhir'
tavajjoh chashm-e-sāqī kī ba-qadr-e-tishnagī hogī
taghaful par bhi un se dil ko ek wabastagi hogi
mohabbat ne mohabbat ki nazar pahchan li hogi
meri jaanib kisi din be-irada uTh gai hogi
nigah-e-naz ko phir bhi bahut zahmat hui hogi
ye 'adat hai hasinon ki to is 'adat ko kya kahiye
ki jis se dosti hogi usi se dushmani hogi
wahan bhi kashmakash pai wahi saudagari dekhi
main samjha tha ki maiKHane mein duniya dusri hogi
sitare chand suraj sham' sab ko aazma dekha
wo jab tashrif laenge to ghar mein raushni hogi
bahaar aane to do tum dekh lena ai chaman walo
meri diwangi mein bhi baDi shaistagi hogi
abhi un se ta'alluq hai nigahon se nigahon tak
kabhi wo muskuraenge kisi din baat bhi hogi
jahan Thahra hua sa hai faza badli hui si hai
mere saqi ne paimane ki gardish rok di hogi
jahan pahle nasheman tha wahan ab phul-patte hain
magar aasar kahte hain yahan bijli giri hogi
ye raaz-e-mai-kada sab ko nahin ma'lum ai 'mahir'
tawajjoh chashm-e-saqi ki ba-qadr-e-tishnagi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.