taghaful tark kar Dalo takalluf ab na farmao
taghaful tark kar Dalo takalluf ab na farmao
Mirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
MORE BYMirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
taġhāful tark kar Daalo takalluf ab na farmāo
lab-e-jāñ hai marīz-e-tālib-e-jalva chale aao
jahān-e-'ishq meñ gar laaj dildārī kī rakhnī hai
to hañste bolte aao ḳhudā ke vāste aao
takalluf bartaraf is vaqt jān-e-ārzū ban kar
nigāhoñ meñ samā jaao mire dil meñ utar jaao
tule baiTheñ haiñ arbāb-e-mohabbat tark-e-ulfat par
ḳhudā ke vāste anjām par apne zarā jaao
shukūk un kī taraf se tark kījiye hazrat-e-'zāhir'
vo sach kahte haiñ ab un kī qasam par bhī yaqīñ laao
taghaful tark kar Dalo takalluf ab na farmao
lab-e-jaan hai mariz-e-talib-e-jalwa chale aao
jahan-e-'ishq mein gar laj dildari ki rakhni hai
to hanste bolte aao KHuda ke waste aao
takalluf bartaraf is waqt jaan-e-arzu ban kar
nigahon mein sama jao mere dil mein utar jao
tule baiThen hain arbab-e-mohabbat tark-e-ulfat par
KHuda ke waste anjam par apne zara jao
shukuk un ki taraf se tark kijiye hazrat-e-'zahir'
wo sach kahte hain ab un ki qasam par bhi yaqin lao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.