taghayyuraati kamal hone mein din lagenge
taġhayyurātī kamāl hone meñ din lageñge
hameñ dobāra bahāl hone meñ din lageñge
ham itnī jaldī kabhī kisī par khule nahīñ haiñ
tumheñ hamārā malāl hone meñ din lageñge
abhī abhī to judā hue ho abhī kahāñ ye
hamāre baare savāl hone meñ din lageñge
hamārī āñkheñ to ratjagoñ ne kured Dālīñ
tumhārī āñkhoñ ko laal hone meñ din lageñge
ye jism behis hai yaar lekin marā nahīñ hai
suno abhī intiqāl hone meñ din lageñge
taghayyuraati kamal hone mein din lagenge
hamein dobara bahaal hone mein din lagenge
hum itni jaldi kabhi kisi par khule nahin hain
tumhein hamara malal hone mein din lagenge
abhi abhi to juda hue ho abhi kahan ye
hamare bare sawal hone mein din lagenge
hamari aankhen to ratjagon ne kured Dalin
tumhaari aankhon ko lal hone mein din lagenge
ye jism behis hai yar lekin mara nahin hai
suno abhi intiqal hone mein din lagenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.