tah-ba-tah dariya ke sab asrar tak wo le gaya
tah-ba-tah dariyā ke sab asrār tak vo le gayā
lahr ik is paar se us paar tak vo le gayā
kaisā saaya thā ki gul kī us ne saarī raushnī
saath apne dhund kī dīvār tak vo le gayā
ek thā bīmār qaidī ik gavāh-e-chashm-dīd
ek hī zanjīr ko darbār tak vo le gayā
thā charāġh-e-iltijā lekin bujhā is shaan se
har muḳhātib se lab-e-iz.hār tak vo le gayā
har sadaf meñ nuur kī thī buuñd sharmā.ī huī
ḳhalvatoñ se khīñch kar bāzār tak vo le gayā
tah-ba-tah dariya ke sab asrar tak wo le gaya
lahr ek is par se us par tak wo le gaya
kaisa saya tha ki gul ki us ne sari raushni
sath apne dhund ki diwar tak wo le gaya
ek tha bimar qaidi ek gawah-e-chashm-did
ek hi zanjir ko darbar tak wo le gaya
tha charagh-e-iltija lekin bujha is shan se
har muKHatib se lab-e-izhaar tak wo le gaya
har sadaf mein nur ki thi bund sharmai hui
KHalwaton se khinch kar bazar tak wo le gaya
- Book : dahliiz per utartii shaam (Pg. 37)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.