tahlil hue jate hain aawaz ke sam mein
tahlīl hue jaate haiñ āvāz ke sam meñ
taa.ir to chale aa.e the gandum ke bharam meñ
āvāz lagātī hai mujhe merī ḳhamoshī
aur shor machātī hai sabā dīda-e-nam meñ
tanhā.ī chalī aa.ī thī ik roz mire ghar
ab ḳhaak uḌātī hai isī dasht-e-alam meñ
jo log mujhe DhūñDhne nikle the unheñ ab
sab DhūñDhne nikle haiñ mire naqsh-e-qadam meñ
ham kaise yahāñ ḳhvāb ke ambār lagāte
āñkheñ to lagā rakkhī thiiñ vīrān shikam meñ
tahlil hue jate hain aawaz ke sam mein
tair to chale aae the gandum ke bharam mein
aawaz lagati hai mujhe meri KHamoshi
aur shor machati hai saba dida-e-nam mein
tanhai chali aai thi ek roz mere ghar
ab KHak uDati hai isi dasht-e-alam mein
jo log mujhe DhunDhne nikle the unhen ab
sab DhunDhne nikle hain mere naqsh-e-qadam mein
hum kaise yahan KHwab ke ambar lagate
aankhen to laga rakkhi thin viran shikam mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.