Tahniyan phulon ko tarsengi yahan tere baad
Tahniyāñ phūloñ ko tarseñgī yahāñ tere ba.ad
vādī-e-jhañg se uTThegā dhuāñ tere ba.ad
lāDle shīshamoñ kī bhāg-bharī shāḳhoñ se
koñpleñ phūTeñgī ban ban ke fuġhāñ tere ba.ad
dhundlī dhundlī nazar ā.eñgī suhānī rāteñ
hichkiyāñ legā ''turammoñ'' kā samāñ tere ba.ad
naag ban jā.eñgī paanī kī sharābī lahreñ
aag phailā.egā sailāb-e-chinhāñ tere ba.ad
kaun ''bele'' meñ dil-e-zār ko bahalā.egā
kaun degā mirī aahoñ ko amaañ tere ba.ad
''māhiyā'' gā.eñgī kūñjeñ lab-e-dariyā lekin
in kī sañgīt meñ vo baat kahāñ tere ba.ad
Tahniyan phulon ko tarsengi yahan tere baad
wadi-e-jhang se uTThega dhuan tere baad
laDle shishamon ki bhag-bhari shaKHon se
konplen phuTengi ban ban ke fughan tere baad
dhundli dhundli nazar aaengi suhani raaten
hichkiyan lega turammon ka saman tere baad
nag ban jaengi pani ki sharabi lahren
aag phailaega sailab-e-chinhan tere baad
kaun bele mein dil-e-zar ko bahalaega
kaun dega meri aahon ko aman tere baad
mahiya gaengi kunjen lab-e-dariya lekin
in ki sangit mein wo baat kahan tere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.