tahrir hum afsana-e-gham karte rahenge
tahrir hum afsana-e-gham karte rahenge
Syed Muzaffar Ahmad Ziya
MORE BYSyed Muzaffar Ahmad Ziya
tahrīr ham afsāna-e-ġham karte raheñge
sar marhala-e-lauh-o-qalam karte raheñge
zindāñ meñ jo aa.e haiñ to chheḌeñge na.e giit
lai naġhma-e-zanjīr kī kam karte raheñge
kab tak yūñhī chhā.eñge tasavvur ke ufuq par
kab tak vo ḳhayāloñ pe karam karte raheñge
sochā hai ki bardāsht kī ḳhū Dāleñge ham bhī
hañs hañs ke talāfī-e-sitam karte raheñge
nairangī-e-māhaul pe likkheñge ġhazal bhī
aur marsiya-e-nau bhī raqam karte raheñge
hai dil meñ huzūrī kī tamanna to jabīñ ko
shā.ista-e-ādāb-e-haram karte raheñge
ham ahl-e-qalam us ko samajhte haiñ farīza
sachchā.ī ko alfāz meñ zam karte raheñge
mahsūs ye hotā hai 'ziyā' fikr ke dushman
fankār ke hāthoñ ko qalam karte raheñge
tahrir hum afsana-e-gham karte rahenge
sar marhala-e-lauh-o-qalam karte rahenge
zindan mein jo aae hain to chheDenge nae git
lai naghma-e-zanjir ki kam karte rahenge
kab tak yunhi chhaenge tasawwur ke ufuq par
kab tak wo KHayalon pe karam karte rahenge
socha hai ki bardasht ki KHu Dalenge hum bhi
hans hans ke talafi-e-sitam karte rahenge
nairangi-e-mahaul pe likkhenge ghazal bhi
aur marsiya-e-nau bhi raqam karte rahenge
hai dil mein huzuri ki tamanna to jabin ko
shaista-e-adab-e-haram karte rahenge
hum ahl-e-qalam us ko samajhte hain fariza
sachchai ko alfaz mein zam karte rahenge
mahsus ye hota hai 'ziya' fikr ke dushman
fankar ke hathon ko qalam karte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.