tahrir hua main kabhi taqrir hua main
tahrīr huā maiñ kabhī taqrīr huā maiñ
har sinf meñ ik shaḳhs kī tafsīr huā maiñ
iblīs ne sajda na kiyā zo'm meñ us ke
ik qasr takabbur kā jo ta.amīr huā maiñ
allah re mirī shiddat-e-ehsās kā aalam
murjhā.ī kalī koī to dil-gīr huā maiñ
is ahd meñ ye soch bhī hai jurm ke mānind
haq-goī pe kyoñ bā.is-e-tāzīr huā maiñ
pūchho na mirā haal mirā haal kahāñ hai
muddat huī ik shaḳhs kī tasvīr huā maiñ
sab khul ga.ī kirdār kī guftār kī ḳhūbī
aḳhbār ke column meñ jo tash.hīr huā maiñ
jis din se ki ik shaḳhs ne pherī haiñ nigāheñ
ranj-o-ġham-o-ālām kī jāgīr huā maiñ
is varta-e-hairat meñ zamāne se maiñ gum huuñ
kis dard kā rishta thā ki zanjīr huā maiñ
tahrir hua main kabhi taqrir hua main
har sinf mein ek shaKHs ki tafsir hua main
iblis ne sajda na kiya zo'm mein us ke
ek qasr takabbur ka jo tamir hua main
allah re meri shiddat-e-ehsas ka aalam
murjhai kali koi to dil-gir hua main
is ahd mein ye soch bhi hai jurm ke manind
haq-goi pe kyon bais-e-tazir hua main
puchho na mera haal mera haal kahan hai
muddat hui ek shaKHs ki taswir hua main
sab khul gai kirdar ki guftar ki KHubi
aKHbar ke column mein jo tashhir hua main
jis din se ki ek shaKHs ne pheri hain nigahen
ranj-o-gham-o-alam ki jagir hua main
is warta-e-hairat mein zamane se main gum hun
kis dard ka rishta tha ki zanjir hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.