tai hai ab rah-e-mohabbat se guzarna mera
tai hai ab rah-e-mohabbat se guzarna mera
Ameeta Parsuram Meeta
MORE BYAmeeta Parsuram Meeta
tai hai ab rāh-e-mohabbat se guzarnā merā
phir usī raah meñ ḳhushbū sā bikharnā merā
ab bhī zinda haiñ kahīñ mujh meñ vo pahlī sī maiñ
ho tirī baat to dhīme se mukarnā merā
thā yaqīñ dil ko tum aaoge manāne mujh ko
phir vo har ġham pe ruknā vo Thaharnā merā
kaifiyat hai ye 'ajab sī hai 'ajab sā 'ālam
bas tumheñ soch ke har pal hai sañvarnā merā
ab koī ḳhauf nahīñ us se bichhaḌ jaane kā
kitnī hairat se vo dekhe hai na Darnā merā
kyā ye vahshat hai junūñ hai ki fusūñ hai kyā hai
chāhnā Tuut ke phir yuñhī bipharnā merā
tai hai ab rah-e-mohabbat se guzarna mera
phir usi rah mein KHushbu sa bikharna mera
ab bhi zinda hain kahin mujh mein wo pahli si main
ho teri baat to dhime se mukarna mera
tha yaqin dil ko tum aaoge manane mujh ko
phir wo har gham pe rukna wo Thaharna mera
kaifiyat hai ye 'ajab si hai 'ajab sa 'alam
bas tumhein soch ke har pal hai sanwarna mera
ab koi KHauf nahin us se bichhaD jaane ka
kitni hairat se wo dekhe hai na Darna mera
kya ye wahshat hai junun hai ki fusun hai kya hai
chahna Tut ke phir yunhi bipharna mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.