tai ho saka na fasla lambi uDan se
tai ho sakā na fāsla lambī uḌaan se
maiñ Dher ho ke rah gayā āḳhir takān se
us be-gunah kī chīḳh ne kyā kuchh nahīñ kahā
par log chhup ke dekh rahe the makān se
tūfān-e-sad-zavāl se kashtī bachā.iye
ḳhatra na Talne vaalā hai ye bādbān se
rishtoñ kī bhīḌ-bhāḌ se vo bhī alag huā
maiñ bhī najāt pā gayā vahm-o-gumān se
jī chāhtā hai saarī thakan oḌh luuñ 'sahar'
āḳhir maiñ aur kitnā laḌūñ jism o jaan se
tai ho saka na fasla lambi uDan se
main Dher ho ke rah gaya aaKHir takan se
us be-gunah ki chiKH ne kya kuchh nahin kaha
par log chhup ke dekh rahe the makan se
tufan-e-sad-zawal se kashti bachaiye
KHatra na Talne wala hai ye baadban se
rishton ki bhiD-bhaD se wo bhi alag hua
main bhi najat pa gaya wahm-o-guman se
ji chahta hai sari thakan oDh lun 'sahar'
aaKHir main aur kitna laDun jism o jaan se
- Book : Rifat mere khawab ki (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.