Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tai hua hai us taraf ki rahguzar ka jagna

Nabeel Ahmad Nabeel

tai hua hai us taraf ki rahguzar ka jagna

Nabeel Ahmad Nabeel

MORE BYNabeel Ahmad Nabeel

    tai huā hai us taraf rahguzar jāgnā

    mere paañv meñ kisī lambe safar jāgnā

    bolte the kyā parinde se dar-o-dīvār par

    yaad hai ab bhī mujhe vo apne ghar jāgnā

    ab kahāñ mausam hai vo dār-o-rasan dosto

    ab kahāñ ushshāq ke shānoñ pe sar jāgnā

    varna mujh ko dhuup sahrā kabhī na chhoḌtā

    aa gayā hai kaam mere ik shajar jāgnā

    ik purānī aarzū Thahrī ujāloñ talab

    ik purānā ḳhvāb Thahrā hai sahar jāgnā

    āsmāñ khulte ga.e mujh par zamīnoñ tarah

    ek lamhe ke liye thā bāl-o-par jāgnā

    maiñ 'nabīl' is ḳhauf se ik umr soyā nahīñ

    zindagī-bhar hai sonā lamha-bhar jāgnā

    tai hua hai us taraf ki rahguzar ka jagna

    mere panw mein kisi lambe safar ka jagna

    bolte the kya parinde se dar-o-diwar par

    yaad hai ab bhi mujhe wo apne ghar ka jagna

    ab kahan mausam hai wo dar-o-rasan ka dosto

    ab kahan ushshaq ke shanon pe sar ka jagna

    warna mujh ko dhup ka sahra kabhi na chhoDta

    aa gaya hai kaam mere ek shajar ka jagna

    ek purani aarzu Thahri ujalon ki talab

    ek purana KHwab Thahra hai sahar ka jagna

    aasman khulte gae mujh par zaminon ki tarah

    ek lamhe ke liye tha baal-o-par ka jagna

    main 'nabil' is KHauf se ek umr soya hi nahin

    zindagi-bhar ka hai sona lamha-bhar ka jagna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now