tajalliyan hain ki in ka koi hisab nahin
tajalliyāñ haiñ ki in kā koī hisāb nahīñ
nigāh-e-shauq hai aur dekhne kī taab nahīñ
junūn-e-ishq meñ ahl-e-talab se hotā hai
vo ik gunāh jo mustaujib-e-azāb nahīñ
jahāñ pe zehn hī maflūj ho ke rah jaa.e
use kuchh aur hī kahiye vo inqalāb nahīñ
samajhnā chāheñ jise aur samajh meñ aa na sake
to phir vo zindagī kyā hai agar sarāb nahīñ
karam kī phir bhī tavaqqo to hai mujhe us se
ye aur baat duā mirī mustajāb nahīñ
use to bazm hī kahnā gunāh hai 'zaidī'
vo bazm jis meñ ki saaqī nahīñ sharāb nahīñ
tajalliyan hain ki in ka koi hisab nahin
nigah-e-shauq hai aur dekhne ki tab nahin
junun-e-ishq mein ahl-e-talab se hota hai
wo ek gunah jo mustaujib-e-azab nahin
jahan pe zehn hi mafluj ho ke rah jae
use kuchh aur hi kahiye wo inqalab nahin
samajhna chahen jise aur samajh mein aa na sake
to phir wo zindagi kya hai agar sarab nahin
karam ki phir bhi tawaqqo to hai mujhe us se
ye aur baat dua meri mustajab nahin
use to bazm hi kahna gunah hai 'zaidi'
wo bazm jis mein ki saqi nahin sharab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.