tajalliyon ko bhi andaza-e-nazar na raha
tajalliyoñ ko bhī andāza-e-nazar na rahā
kuchh e.atibār tirā jalva-e-sahar na rahā
tasavvurāt meñ bhī ab vo jalva-gar na rahā
nazar vahī hai magar hāsil-e-nazar na rahā
chaman meñ aa.ī thī kal jin ke dam-qadam se bahār
unhīñ kā aaj chaman par koī asar na rahā
luTā hai manzil-e-maqsad pe kārvāñ jab se
mirī nigāh meñ phir koī rāhbar na rahā
bahār meñ use rang-e-ḳhizāñ nazar aaya
jise bahār meñ ehsās-e-bāl-o-par na rahā
sukūn-e-dil kā ho aalam ki dard kī manzil
vo kis fazā meñ kahāñ merā ham-safar na rahā
na sham-e-bazm kā jalva na raqs-e-parvāna
sahar ke baad vo hangāma-e-sahar na rahā
guzar ga.ī bahut achchhī ġham-e-mohabbat meñ
ġham-e-hayāt kā baar apne dosh par na rahā
fareb-e-jalva ne kyā kar diyā nigāhoñ ko
ki ab nigāh meñ jalva bhī mo'atabar na rahā
naqāb ruḳh se tum apne uThā to loge magar
natīja kyā mujhe hosh-e-nazar agar na rahā
na be-ḳhudī kī fazā thī na hosh kā aalam
magar maiñ farz-e-mohabbat se be-ḳhabar na rahā
maiñ sang-e-dar se bhī ab be-niyāz huuñ 'sājid'
jabīn-e-shauq pe ehsān-e-sang-e-dar na rahā
tajalliyon ko bhi andaza-e-nazar na raha
kuchh eatibar tera jalwa-e-sahar na raha
tasawwuraat mein bhi ab wo jalwa-gar na raha
nazar wahi hai magar hasil-e-nazar na raha
chaman mein aai thi kal jin ke dam-qadam se bahaar
unhin ka aaj chaman par koi asar na raha
luTa hai manzil-e-maqsad pe karwan jab se
meri nigah mein phir koi rahbar na raha
bahaar mein use rang-e-KHizan nazar aaya
jise bahaar mein ehsas-e-baal-o-par na raha
sukun-e-dil ka ho aalam ki dard ki manzil
wo kis faza mein kahan mera ham-safar na raha
na sham-e-bazm ka jalwa na raqs-e-parwana
sahar ke baad wo hangama-e-sahar na raha
guzar gai bahut achchhi gham-e-mohabbat mein
gham-e-hayat ka bar apne dosh par na raha
fareb-e-jalwa ne kya kar diya nigahon ko
ki ab nigah mein jalwa bhi mo'atabar na raha
naqab ruKH se tum apne uTha to loge magar
natija kya mujhe hosh-e-nazar agar na raha
na be-KHudi ki faza thi na hosh ka aalam
magar main farz-e-mohabbat se be-KHabar na raha
main sang-e-dar se bhi ab be-niyaz hun 'sajid'
jabin-e-shauq pe ehsan-e-sang-e-dar na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.