tajalliyon se gham-e-etibar le ke uTha
tajalliyoñ se ġham-e-e'tibār le ke uThā
sukūñ nahīñ thā to dil kā qarār le ke uThā
guzarne vaale musāfir se kī umīd-e-vafā
har ek rah se koī intizār le ke uThā
kiye junūñ meñ yahāñ tak sujūd-e-majbūrī
ki āstāñ se tire iḳhtiyār le ke uThā
chaman meñ ġham kī bahāreñ guzār diiñ maiñ ne
vahāñ se apne nasheman ke ḳhaar le ke uThā
ḳhizāñ-nasīb hai duniyā use ḳhabar kyā hai
bahār le ke jo baiThā bahār le ke uThā
chaman se kyuuñ na ta.alluq ho sūrat-e-shabnam
vo gir paḌā jo alā.eq kā baar le ke uThā
hayāt-ḳhez hai har rañg meñ sabāt 'nushūr'
jo sañg ho ke bhī baiThā sharār le ke uThā
tajalliyon se gham-e-e'tibar le ke uTha
sukun nahin tha to dil ka qarar le ke uTha
guzarne wale musafir se ki umid-e-wafa
har ek rah se koi intizar le ke uTha
kiye junun mein yahan tak sujud-e-majburi
ki aastan se tere iKHtiyar le ke uTha
chaman mein gham ki bahaaren guzar din main ne
wahan se apne nasheman ke KHar le ke uTha
KHizan-nasib hai duniya use KHabar kya hai
bahaar le ke jo baiTha bahaar le ke uTha
chaman se kyun na talluq ho surat-e-shabnam
wo gir paDa jo alaeq ka bar le ke uTha
hayat-KHez hai har rang mein sabaat 'nushur'
jo sang ho ke bhi baiTha sharar le ke uTha
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 209)
- Author : Nushoor wahedi
- Publication : Sarvat Wahidi D/o Nushoor wahedi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.