tajdid-e-ltifat ka imkan nahin raha
tajdīd-e-ltifāt kā imkāñ nahīñ rahā
aish-o-nishāt ziist kā sāmāñ nahīñ rahā
ik ek kar ke dil ke sab armān miT ga.e
sad shukr dil meñ ab koī armāñ nahīñ rahā
fasl-e-bahār aa ke bhī kyā gul khilā.egī
vo gul nahīñ rahe vo gulistāñ nahīñ rahā
dene lagī hai maut mire dar pe dastakeñ
ab zindagī kā mujh pe kuchh ehsāñ nahīñ rahā
hindū bhī apne dharm ke raste se haT ga.e
īmāñ-parast koī musalmāñ nahīñ rahā
detā thā jo hayāt-e-vafā ko tasalliyāñ
vo ġham bhī zindagī kā nigahbāñ nahīñ rahā
jiine kā valvala hai na khaTkā hai maut kā
ab imtiyāz-e-sāhil-o-tūfāñ nahīñ rahā
aisā hai kaun jis ko hamesha ḳhushī milī
aisā bhī koī hai jo pareshāñ nahīñ rahā
'gauhar' ye iztirāb-e-shab-o-roz hai fuzūl
kyā e.atibār-e-rahmat-e-yazdāñ nahīñ rahā
tajdid-e-ltifat ka imkan nahin raha
aish-o-nishat zist ka saman nahin raha
ek ek kar ke dil ke sab arman miT gae
sad shukr dil mein ab koi arman nahin raha
fasl-e-bahaar aa ke bhi kya gul khilaegi
wo gul nahin rahe wo gulistan nahin raha
dene lagi hai maut mere dar pe dastaken
ab zindagi ka mujh pe kuchh ehsan nahin raha
hindu bhi apne dharm ke raste se haT gae
iman-parast koi musalman nahin raha
deta tha jo hayat-e-wafa ko tasalliyan
wo gham bhi zindagi ka nigahban nahin raha
jine ka walwala hai na khaTka hai maut ka
ab imtiyaz-e-sahil-o-tufan nahin raha
aisa hai kaun jis ko hamesha KHushi mili
aisa bhi koi hai jo pareshan nahin raha
'gauhar' ye iztirab-e-shab-o-roz hai fuzul
kya eatibar-e-rahmat-e-yazdan nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.