tajdid ho wafa ki qarine nahin rahe
tajdīd ho vafā kī qarīne nahīñ rahe
yādoñ ke qīmtī vo ḳhazīne nahīñ rahe
jin narm rāstoñ se tū utrā thā dil meñ dost
sochoñ meñ ab vo maḳhmalī ziine nahīñ rahe
ye bandagān-e-ḳhās kā hī sirf vasf thā
ho 'ilm jin ko hazm vo siine nahīñ rahe
utrā thā ek chāñd mire dil meñ jin se ab
chāhat kī rah-guzar meñ vo ziine nahīñ rahe
tai hote the hayā se mohabbat ke marhale
ab vo mohabbatoñ meñ qarīne nahīñ rahe
kyoñ vāpsī ke tum ne vasīle jalā diye
sāhil pe lauTne ko safīne nahīñ rahe
raushan the tere naqsh-e-qadam se jo jān-e-man
āñkhoñ se dil talak vahī ziine nahīñ rahe
kyoñ 'shamsa' zindagī meñ moharram Thahar gayā
hālāñki sog ke to mahīne nahīñ rahe
tajdid ho wafa ki qarine nahin rahe
yaadon ke qimti wo KHazine nahin rahe
jin narm raston se tu utra tha dil mein dost
sochon mein ab wo maKHmali zine nahin rahe
ye bandagan-e-KHas ka hi sirf wasf tha
ho 'ilm jin ko hazm wo sine nahin rahe
utra tha ek chand mere dil mein jin se ab
chahat ki rah-guzar mein wo zine nahin rahe
tai hote the haya se mohabbat ke marhale
ab wo mohabbaton mein qarine nahin rahe
kyon wapsi ke tum ne wasile jala diye
sahil pe lauTne ko safine nahin rahe
raushan the tere naqsh-e-qadam se jo jaan-e-man
aankhon se dil talak wahi zine nahin rahe
kyon 'shamsa' zindagi mein moharram Thahar gaya
haalanki sog ke to mahine nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.