tajraba ye hamein sikhata hai
tajraba ye hameñ sikhātā hai
achchhā ho yā burā sab achchhā hai
ziist aur jism kā ye rishta hai
ek raaja hai ik piyāda hai
dhartī aur āsmāñ nahīñ milte
un kā milnā nazar kā dhoka hai
aañkh meñ surḳh kuchh lakīreñ haiñ
jo tire ġham kā saaf naqsha hai
bā-ḳhudā paḌh ke aañkh ro degī
mahz misra' nahīñ ye nauha hai
tajraba ye hamein sikhata hai
achchha ho ya bura sab achchha hai
zist aur jism ka ye rishta hai
ek raja hai ek piyaada hai
dharti aur aasman nahin milte
un ka milna nazar ka dhoka hai
aankh mein surKH kuchh lakiren hain
jo tere gham ka saf naqsha hai
ba-KHuda paDh ke aankh ro degi
mahz misra' nahin ye nauha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.