tajrabon ke mausam jab sazgar aaenge
tajraboñ ke mausam jab sāzgār ā.eñge
fikr ke daraḳhtoñ meñ barg-o-bār ā.eñge
jur.ateñ uḌānoñ kī paar le ga.iiñ ham ko
ghaat meñ rahe jangal ab shikār ā.eñge
TukḌe TukḌe ummīdeñ joḌ lūñgā maiñ jis din
hañste gaate mausam ḳhud mere dvaar ā.eñge
ham ko dekhnā ye hai bojh to nahīñ jīvan
marhale to dukh sukh ke baar baar ā.eñge
phuul bante jā.eñge zaḳhm zaḳhm talvoñ se
merī raah meñ jitne ḳhār-zār ā.eñge
Duub jā niyāz ab to sath kī chamak mat dekh
tujh ko gahre paanī hī sāzgār ā.eñge
tajrabon ke mausam jab sazgar aaenge
fikr ke daraKHton mein barg-o-bar aaenge
juraten uDanon ki par le gain hum ko
ghat mein rahe jangal ab shikar aaenge
TukDe TukDe ummiden joD lunga main jis din
hanste gate mausam KHud mere dwar aaenge
hum ko dekhna ye hai bojh to nahin jiwan
marhale to dukh sukh ke bar bar aaenge
phul bante jaenge zaKHm zaKHm talwon se
meri rah mein jitne KHar-zar aaenge
Dub ja niyaz ab to sath ki chamak mat dekh
tujh ko gahre pani hi sazgar aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.