tajribe-kar the hum zehn mein jada rakkha
tajribe-kār the ham zehn meñ jaada rakkhā
zer-e-pā apne havādis ko mubādā rakkhā
ye batā tark-e-ta'alluq kā gunahgār hai kaun
maiñ ne sochā bhī nahīñ tū ne irāda rakkhā
maslahat-pesha har ik shaḳhs magar merī tarah
zehn ko apne yahāñ kis ne kushāda rakkhā
us ne faa.ez kiye āqāoñ ke mansab pe ġhulām
aur ḳhud jism pe bosīda labāda rakkhā
shaah ko 'ilm thā vo shaah bhī ban saktā hai
is liye fauj meñ sirf us ko piyāda rakkhā
mujh ko ye 'ilm thā vo dost-numā dushman hai
is liye maiñ ne use yaad ziyāda rakkhā
us kī yādoñ kī amānat hai mirā dil 'anvar'
ye varaq vo hai hamesha jise saada rakkhā
tajribe-kar the hum zehn mein jada rakkha
zer-e-pa apne hawadis ko mubaada rakkha
ye bata tark-e-ta'alluq ka gunahgar hai kaun
main ne socha bhi nahin tu ne irada rakkha
maslahat-pesha har ek shaKHs magar meri tarah
zehn ko apne yahan kis ne kushada rakkha
us ne faez kiye aaqaon ke mansab pe ghulam
aur KHud jism pe bosida labaada rakkha
shah ko 'ilm tha wo shah bhi ban sakta hai
is liye fauj mein sirf us ko piyaada rakkha
mujh ko ye 'ilm tha wo dost-numa dushman hai
is liye main ne use yaad ziyaada rakkha
us ki yaadon ki amanat hai mera dil 'anwar'
ye waraq wo hai hamesha jise sada rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.