taKHrib mein tamir ke pahlu hain nihan aur
taḳhrīb meñ ta.amīr ke pahlū haiñ nihāñ aur
miTtā hai jahāñ ek to bantā hai jahāñ aur
thak jā.eñge ik roz to ḳhud zulf ke baazū
jitne bhī sitam hote haiñ kahte haiñ ki haañ aur
dekheñge ki likhtā hai gulistāñ kā muharrik
gulchīñ kā bayāñ aur hai bulbul kā bayāñ aur
himmat ke mutābiq hai manāzil kā ta.ayyun
dīpak kā jahāñ aur patange kā jahāñ aur
ai mahr mire dil kī lagī ro ke bujhī hai
chhīñTe jo diye jaate haiñ uThtā hai dhuāñ aur
taKHrib mein tamir ke pahlu hain nihan aur
miTta hai jahan ek to banta hai jahan aur
thak jaenge ek roz to KHud zulf ke bazu
jitne bhi sitam hote hain kahte hain ki han aur
dekhenge ki likhta hai gulistan ka muharrik
gulchin ka bayan aur hai bulbul ka bayan aur
himmat ke mutabiq hai manazil ka tayyun
dipak ka jahan aur patange ka jahan aur
ai mahr mere dil ki lagi ro ke bujhi hai
chhinTe jo diye jate hain uThta hai dhuan aur
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 101)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.