Takra kar ek lams badan par Dub gaya
Takrā kar ik lams badan par Duub gayā
phir ye huā maiñ apne barābar Duub gayā
donoñ taraf kī pāgal maujeñ ek huiiñ
hadd-e-fāsil thā jo patthar Duub gayā
ḳhvāhish kī ik aisī zerīñ lahr uThī
lahreñ letā ek samandar Duub gayā
jaane kaisī dhund āñkhoñ meñ baiTh ga.ī
lachkīlā saa.e kā paikar Duub gayā
qatra-qatra kar ke kirneñ chaaT ga.iiñ
bhīgī rut kā saarā manzar Duub gayā
istiqbāl ko log khaḌe the sāhil par
biich bhañvar meñ saarā lashkar Duub gayā
Takra kar ek lams badan par Dub gaya
phir ye hua main apne barabar Dub gaya
donon taraf ki pagal maujen ek huin
hadd-e-fasil tha jo patthar Dub gaya
KHwahish ki ek aisi zerin lahr uThi
lahren leta ek samandar Dub gaya
jaane kaisi dhund aankhon mein baiTh gai
lachkila sae ka paikar Dub gaya
qatra-qatra kar ke kirnen chaT gain
bhigi rut ka sara manzar Dub gaya
istiqbaal ko log khaDe the sahil par
bich bhanwar mein sara lashkar Dub gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.