Takra rahi hain tez hawaen chaTan se
Takrā rahī haiñ tez havā.eñ chaTān se
bāhar na jaao apne shikasta makān se
vo raat bhar charāġh kī lau dekhtā rahā
imkāñ tarāshtā hai jo apne gumān se
azm-e-safar hai dhuup kā sahrā hai aur maiñ
dariyā to saath chhoḌ gayā darmiyān se
vo mausam-e-ḳhizāñ kī thakan hī meñ jal ga.e
bāhar khile jo phuul tire sā.ebān se
ik umr ho ga.ī hai ki Dartā rahā huuñ maiñ
raushan charāġh se kabhī andhe makān se
gahre samundaroñ meñ sitāra na thā koī
sāhil kī shaam mil na sakī bādbān se
dīvār aa.ine kī hai shīshe ke bām-o-dar
lekin ġhubār uThtā hai mere makān se
Takra rahi hain tez hawaen chaTan se
bahar na jao apne shikasta makan se
wo raat bhar charagh ki lau dekhta raha
imkan tarashta hai jo apne guman se
azm-e-safar hai dhup ka sahra hai aur main
dariya to sath chhoD gaya darmiyan se
wo mausam-e-KHizan ki thakan hi mein jal gae
bahar khile jo phul tere saeban se
ek umr ho gai hai ki Darta raha hun main
raushan charagh se kabhi andhe makan se
gahre samundaron mein sitara na tha koi
sahil ki sham mil na saki baadban se
diwar aaine ki hai shishe ke baam-o-dar
lekin ghubar uThta hai mere makan se
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 01.04.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.