Takrane se jo aag uThi thi usi ka ho
Takrāne se jo aag uThī thī usī kā ho
shāyad kahīñ pe naqsh tirī raushnī kā ho
lākhoñ tarah kī zindagī ābād hai yahāñ
har mas.ala zarūrī nahīñ aadmī kā ho
nāgāh us badan se lipaTtā huuñ baar baar
shāyad yahī ilaaj mirī bekalī kā ho
har chiiz se ziyāda hai nisbat kī ahmiyat
patthar bhī koī maare to us kī galī kā ho
shirkat zarūrī hotī hai takmīl ke liye
maiñ bhī kisī kā ho gayā tū bhī kisī kā ho
sāqī-garī to aatī hai sab ko ba-qadr-e-zarf
honā hai imtihān to phir dilbarī kā ho
Takrane se jo aag uThi thi usi ka ho
shayad kahin pe naqsh teri raushni ka ho
lakhon tarah ki zindagi aabaad hai yahan
har masala zaruri nahin aadmi ka ho
nagah us badan se lipaTta hun bar bar
shayad yahi ilaj meri bekali ka ho
har chiz se ziyaada hai nisbat ki ahmiyat
patthar bhi koi mare to us ki gali ka ho
shirkat zaruri hoti hai takmil ke liye
main bhi kisi ka ho gaya tu bhi kisi ka ho
saqi-gari to aati hai sab ko ba-qadr-e-zarf
hona hai imtihan to phir dilbari ka ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.