talash dariya ki thi ba-zahir sarab dekha
talāsh dariyā kī thī ba-zāhir sarāb dekhā
vo kaun āñkheñ thiiñ jin kī ḳhātir ye ḳhvāb dekhā
jo rut bhī aa.e hamīñ se girya kā rizq māñge
hamārī sūrat kise zamīñ intiḳhāb dekhā
nadāmateñ bahte āñsuoñ se sharh na paa.eñ
safīna apnī duā kā maqtal rikāb dekhā
barastī āñkhoñ se sūkhe tālāb bhar na paa.eñ
ye ġham kā dariyā misāl-e-qarz-e-sahāb dekhā
kabhī to āñkhoñ meñ un kī ābādiyāñ khileñgī
vo bastiyāñ umr bhar jinheñ zer-e-āb dekhā
abhī to baḳhiya-garī ko sozan hī kaam aa.e
hinā kī dahlīz pe tulu-e-hijāb dekhā
yaqīñ ki tishna-labī muqaddar raqam rahegī
vufūr-e-dariyā bhī misl-e-dariyā-e-ḳhvāb dekhā
jatā gayā saarī ādateñ bas gale se lag ke
us ek anjum ko chāndnī ke hisāb dekhā
ḳhayāl us ke badan kī galiyoñ ko DhūñDtā hai
vo jis ko dekhā to hairatoñ ko naqāb dekhā
talash dariya ki thi ba-zahir sarab dekha
wo kaun aankhen thin jin ki KHatir ye KHwab dekha
jo rut bhi aae hamin se girya ka rizq mange
hamari surat kise zamin intiKHab dekha
nadamaten bahte aansuon se sharh na paen
safina apni dua ka maqtal rikab dekha
barasti aankhon se sukhe talab bhar na paen
ye gham ka dariya misal-e-qarz-e-sahab dekha
kabhi to aankhon mein un ki aabaadiyan khilengi
wo bastiyan umr bhar jinhen zer-e-ab dekha
abhi to baKHiya-gari ko sozan hi kaam aae
hina ki dahliz pe tulu-e-hijab dekha
yaqin ki tishna-labi muqaddar raqam rahegi
wufur-e-dariya bhi misl-e-dariya-e-KHwab dekha
jata gaya sari aadaten bas gale se lag ke
us ek anjum ko chandni ke hisab dekha
KHayal us ke badan ki galiyon ko DhunDta hai
wo jis ko dekha to hairaton ko naqab dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.