talash-e-rahbar na KHauf-e-mazil na fikr koi hai jism-o-jaan ki
talash-e-rahbar na KHauf-e-mazil na fikr koi hai jism-o-jaan ki
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
talāsh-e-rahbar na ḳhauf-e-mazil na fikr koī hai jism-o-jāñ kī
junūñ salāmat to kis ko parvā rahe vafā ke har imtihāñ kī
jo tum ne dekhā hai muskurā kar qadam zamāne ke ruk ga.e haiñ
us ik nigāh-e-karam se pahle kahāñ thī mujh par nazar jahāñ kī
bayān garche thā dard dil kā magar thā kaif-o-asar se ḳhālī
jo naam aayā hai us meñ terā baḌhī hai lazzat bhī dāstāñ kī
ravish pe mahv-e-ḳhirām ho kar jagā.e kyā kyā na tum ne jaadū
kalī meñ rañgat guloñ meñ nik.hat na zīnat aisī thī gulsitāñ kī
jamāl-e-jānāñ kī jalva-gāheñ jahāñ bhī jā.ūñ vahāñ pe pā.ūñ
jhukā.ūñ sar ko jahāñ bhī apne vahīñ pe chaukhaT hai āstāñ kī
kabhī na insāñ ke dil meñ jhāñkā kabhī na khodā ḳhazāna-e-dil
zamīñ ke ruḳh se haTā.e parde to baat kī ham ne āsmāñ kī
zarūr ā.eñgī phir bahāreñ chaman meñ phir raqs-o-rañg hogā
na bād-e-sar-sar ke hoñge jhoñke na yūrisheñ hoñgī phir ḳhizāñ kī
ye jāntā huuñ ki us kā muddat se tinkā tinkā bikhar rahā hai
na jaane phir kyoñ ye yaad paiham hai mere ujḌe se āshiyāñ kī
jo aarzū ko 'habīb' puḳhta to qurb-o-dūrī kā farq kaisā
mire tasavvur ne ḳhatm kar dī jo duurī ham meñ thī darmiyāñ kī
talash-e-rahbar na KHauf-e-mazil na fikr koi hai jism-o-jaan ki
junun salamat to kis ko parwa rahe wafa ke har imtihan ki
jo tum ne dekha hai muskura kar qadam zamane ke ruk gae hain
us ek nigah-e-karam se pahle kahan thi mujh par nazar jahan ki
bayan garche tha dard dil ka magar tha kaif-o-asar se KHali
jo nam aaya hai us mein tera baDhi hai lazzat bhi dastan ki
rawish pe mahw-e-KHiram ho kar jagae kya kya na tum ne jadu
kali mein rangat gulon mein nikhat na zinat aisi thi gulsitan ki
jamal-e-jaanan ki jalwa-gahen jahan bhi jaun wahan pe paun
jhukaun sar ko jahan bhi apne wahin pe chaukhaT hai aastan ki
kabhi na insan ke dil mein jhanka kabhi na khoda KHazana-e-dil
zamin ke ruKH se haTae parde to baat ki hum ne aasman ki
zarur aaengi phir bahaaren chaman mein phir raqs-o-rang hoga
na baad-e-sar-sar ke honge jhonke na yurishen hongi phir KHizan ki
ye jaanta hun ki us ka muddat se tinka tinka bikhar raha hai
na jaane phir kyon ye yaad paiham hai mere ujDe se aashiyan ki
jo aarzu ko 'habib' puKHta to qurb-o-duri ka farq kaisa
mere tasawwur ne KHatm kar di jo duri hum mein thi darmiyan ki
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 70)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.