talash jis ki ho wo shai kabhi nahin milti
talāsh jis kī ho vo shai kabhī nahīñ miltī
qarār dil ko laboñ ko hañsī nahīñ miltī
bhaTakte phirte haiñ tārīk rahguzāroñ meñ
tire baġhair kahīñ raushnī nahīñ miltī
chaTaktī rahtī haiñ kaliyāñ bhī gul bhī khilte haiñ
nigāh-o-dil ko magar tāzgī nahīñ miltī
hazār shāḳheñ lachaktī haiñ mausam-e-gul meñ
shaguftagī hai magar nāzukī nahīñ miltī
riyāzatoñ se nikhartā hai koī bhī fan ho
agar shu.ūr na ho āgahī nahīñ miltī
hayāt naam hai jehd-o-amal kā ai logo
jo thak ke baiThe rahe zindagī nahīñ miltī
hamesha rahtī haiñ āñkheñ bharī bharī sī 'jamāl'
kisī ko palkoñ pe merī namī nahīñ miltī
talash jis ki ho wo shai kabhi nahin milti
qarar dil ko labon ko hansi nahin milti
bhaTakte phirte hain tarik rahguzaron mein
tere baghair kahin raushni nahin milti
chaTakti rahti hain kaliyan bhi gul bhi khilte hain
nigah-o-dil ko magar tazgi nahin milti
hazar shaKHen lachakti hain mausam-e-gul mein
shaguftagi hai magar nazuki nahin milti
riyazaton se nikharta hai koi bhi fan ho
agar shuur na ho aagahi nahin milti
hayat nam hai jehd-o-amal ka ai logo
jo thak ke baiThe rahe zindagi nahin milti
hamesha rahti hain aankhen bhari bhari si 'jamal'
kisi ko palkon pe meri nami nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.